sudha krishnaavali

bhawon ki man mathura sooni_soona
giton ka vannshivat_tan kunnj virah
soona soona_sukh "kanh"kahaa'n tum
bisar gaye_pranon ki sab gaiyyan
bhookhi_pyasi darshan ki chah
jamun_akulayi preet gopi vihwal,sukh
kanh kahaan tum bisar gaye_anhad ki
sudhiyaan maharas_rati keli dhyan ki
jup mala_mayavi kali kanvaliya_sukh
kanh kahaan tum bisar gaye_asha
chanda gokul deepk,brij
jyotsna,dwarika bhanu,sukh kanh
kahaan tum bisar gaye_naino ki
dropdi roti hai ,hrid vyatha radhika
tadap rahi,Arjun jiwn kanpE kuruthal
sukh kanh kahan tum bisar gaye
bhUV KUnns mar tto diya
kintu,kamna Indr' ye garaj
raha,bheege Tap Hay bacha tto
lo_,SUKH 'kaanh'kahaan tum bisar
gaye_Sraddha ka Sudama deen
bilakh,bhakti ki Sahchari dheer
dhare_Aaya hey bhikharee sakha
Raajan _sukh kaanh kahaa'n tum bisar
gaye_Mutty bhar Tandul pooja ke mei
Kaankh churaye Lajjit hoon Kaise dun
tumhe He sakha Maadhaw_sukh
kaanh kahaa'n tum bisar gaye_Ichha
ki kurup dasi Kubza ,ghar ki 'roti rozi'
Channdan Ghis le jati ghar kanns
VIVASH_sukh kaanh kahaa'n tum
bisar gaye
parinay kar baitthi man hi man ye aatm rukmini tere nit ,
koi or na byah kare aao_
sukh kanh kahaa'n tum bisar gaye_
hutman piya beitthe vaibhaw ke derbari ye
krishna tujhe tere hey dwarikadheesh suno _
sukh kaa'nh kahaan tum bisar gaye_
ye samay dushasan apmanit karne man
saree kheeche doudo he dharm bhraat mere_

sukh kanh kahaan tum bisar gaye_
jag duryodhan ye bhoutikata janngha pite
uphaas kare mohe aake bachalo sakhe ha-ha_

sukh kanh kaan tum bisar gaye_
kya bhool gaye priy preeti meri _

sukh kanh kanha tum bisar gaye

sakhi ! krishn ke dwar na jay saki , so
pukar utthi kanha kanha_ hun
pervash mei ,tu hi doud ke bacha ,
mere bal sakha vegahi aana_kahin der
na ho koi mujh pe hunse uphas kare
mere prit ka rey ! tu hi aake bata de
jagat ko mera pritam hai tuhi ye tto
samjhana _teri sudhi mei bisari gayi
ghar duniyaan ab rah pe aake khadi
hun le dekh ,,ki jaaun kahaan kuchh
soojhe nahin ,,meri baan pakad aake le ja na


Mai mere Bhaiya hota Rakhti nam Kanhaiya,
roj sunati use kahani kahti vannshee bajaiya,
mai mere bhaiya hota**j
hula jhulati makhan deti luk chhup khela karti,
gauyen charane sung sung jati nachti ta ta thaiya ,
mai mere bhaiya hota_
gagar bharne aati gori,matki tode bhage,
dahi churane bal toliyaa bhinsare jo jage,
kan pakad mei jhootth mooth gariyati'chor-bilaiya'
*_rakhi bandh dooj ka teeka karke panv pujati,
paise leti fir la deti man jo bhaye mitthai,
geet suna ke sulati apne kaandhe"raja bhaiya"



Comments